![]() |
Thumbnail |
Dosto ek taraf dekha jaye to filhal to abhi sab china products ko boycott kar rahe hai lekin vahi dusri taraf dekhe to jin logo ne boycott se pehle jo chinese phone purchase kar rakha tha usme kaafi bloatwares dekhne ko milta hai to mai aaj isi ka solution leke aya hu.
Vaise dekha jaye to lagbhag sare bloatwares ko delete karne ka option mil jata hai lekin kabhi kabhi aisa hota hai ki aap kuch apps ko delete nahi kar sake to vaha par hame us app ko disable karne ka option hi milta hai bas.
lekin ab jo solution mai batane wala hu usse use karke aap lagbhag sari unwanted apps ko delete kar sakte ho to neeche diye gaye steps ko follow kare...
How to delete unwanted apps:
![]() |
Image 0 |
Step - 1: Aapko ek app download karna hai jo ki kisi bhi app ka Package Name show karta ho aap koi sa bhi app download kar sakte ho playstore se.
For example mai yaha use kar raha hu Package Name Viewer 2.0
![]() |
Image 1 |
Step - 2: Ab aapko us app ko find karna hai jise aapko delete karna hai.
![]() |
Image 2 |
Step - 3: Ab aap usme dekhoge to aapko package name show ho jayega us app ka. To ab aapko us app ke Package Name ko note kar lena hai jise aap delete karna chahte ho.
![]() |
Image 3 |
Step - 4: Ab aapko apna PC/Laptop open kar lena hai aur usme command prompt as admin open kar lena hai. Ek cheez aapko dhyan me rakhna hai ki aapke PC/Laptop me ADB driver installed hona chahiye.
Notice:- agar aapko adb drivers installation ke regarding blog chahiye to aap comment ke through bata sakte hai.
![]() |
Image 4 |
Step - 5: Ab aapko apne phone ke developer options me ja ke USB Debugging on kar lena hai aur apne phone ko data cable ke through PC/Laptop se connect kar lena hai.
![]() |
Image 5 |
Step - 6: Ab aapko File Explorer open karna hai aur aapko platform tools search karna hai aur us file ke andar ja ke uska file path copy kar lena hai
Note: platform tools aapko adb drivers install karne ke baad hi show hoga.
Step - 7: Ab aapko kuch commands type karna hai.
Commands:
![]() |
Image 6 |
1. Sabse pehle hame command prompt ka path change karna hoga. Path change karne ke liye aap type kijiye cd <path of platform tools>.
![]() |
Image 7 |
2. Ab type karenge adb devices aur enter press karenge to aapko permission grant karni hogi apne phone se to aap use allow kar dijiye fir aap dobara adb devices type karke enter press kariye.
3. Ab type karenge adb shell jisse kya hoga ki aap apne phone ke shell me chale jaoge.
![]() |
Image 10 |
4. Ab type kare pm uninstall -k --user 0 (package name) e.g. com.android.browser itna likh ke aapko enter press kar dena hai fir aap dekhoge ki success likha hua aa gaya hai it means ab aapne successfully app ko delete kar diya hai. Mere case me maine Mi Browser uninstall kiya hai to aap bhi koi bhi app uninstall kar sakte ho.
Commands used
adb devices ------ shows adb devices
adb shell ------- opens terminal of the given device
pm uninstall -k --user 0 (package name) e.g. com.android.fmradio ------- unistalls the app
![]() |
Overview |
It worked for me thanks man
ReplyDelete